Mujhe bulalo Shah-e-Madina, yeh hijr ka gham sata raha hai
Main dar pe aaun yehi toh armaan, dil mein toofan macha raha hai
Hai sehna dushwar yeh judai, meri ho dar tak shaha rasai
Nahi bharosa hai zindagi ka, yeh dil mera dooba ja raha hai
Nahi tamannaye maal-o-daulat, nahi mujhe khwahish-e-hukumat
Meri nazar mein haseen-o-dilkash, woh sabz gumbad sama raha hai
Yehi toh hasrat rahi hai dil mein, mujhe ajal bhi wahin pe aaye
Jahan pe Aqa hai pyara roza, yehi toh armaan sada raha hai
Hai jholi khali aye Shah-e-Aali, khada hai dar pe tere sawali
Ghareeb mangta muradein lene, ko haath gande badha raha hai
Aye benawaon! gadavon aao!, pasare daaman safein banao
Khazana rehmat ka baant-ta woh, Khuda ka mehboob aa raha hai
Gadaye dar jaan-ba-lab hai Aqa, naqab uthao dikha do jalwa
Ho tishna-e-deed par inayat, jahan se pyasa hi ja raha hai
Main gor-e-teera mein aa pada hoon, farishtay bhi aa chuke hain sar par
Chale gaye naaz uthane wale, tera hi ab aasra raha hai
Hai nafsi nafsi chahar jaanib, nisar jaaun kahan hoon Maula
Chupa lo daaman mein pyare Aqa, yeh shor-e-mehshar dara raha hai
Khudaye Ghaffar bakhsh de ab, Habib ki laaj rakh hi le ab
Hamara gham khwar fikr-e-ummat, mein dekh aansu baha raha hai
Saba jo phera ho goye janan, toh ghamzada ka salaam kehna
Yeh arz karna ghareeb-e-Attar kab Madine ko aa raha hai