Mujhe dar pe phir bulana Madni Madine wale
May-e-ishq bhi pilana Madni Madine wale
Meri aankh mein samana Madni Madine wale
Bane dil tera thikana Madni Madine wale
Teri jabkeh deed hogi meri eid hogi
Mere khwab mein tu aana Madni Madine wale
Mujhe gham sata rahe hain meri jaan kha rahe hain
Tumhein hosla barhana Madni Madine wale
Mere sab aziz chhootein mere dost bhi go roothein
Shah tum na rooth jana Madni Madine wale
Main agarcheh hoon kamina tera hoon Shah-e-Madina
Mujhe qadmon se lagana Madni Madine wale
Tere dar se Shah behtar tere astan se barh kar
Hai koi thikana Madni Madine wale
Tera tujh se hoon sawali Shaha pherna na khali
Mujhe apna to banana Madni Madine wale
Yeh mareez mar raha hai tere hath mein shifa hai
Ae tabeeb! jald aana Madni Madine wale
Tu hi Anbiya ka sarwar tu hi do-jahan ka yawar
Tu hi rahbar-e-zamana Madni Madine wale
Tu hai bekasoon ka yawar ae mere ghareeb parwar
Hai sakhi tera gharana Madni Madine wale
Tu Khuda ke baad behtar hai sabhi se mere sarwar
Tera Hashmi gharana Madni Madine wale
Teri farsh par hukumat teri arsh par hukumat
Tu Shahanshah-e-zamana Madni Madine wale
Tera khulq sab se bala tera husn sab se aala
Fida tujh pe sab zamana Madni Madine wale
Kahoon kis se aah! jakar sune kaun mere sarwar
Mere dard ka fasana Madni Madine wale
Bi-ata-e-Rabb hakim tu hai rizq ka bhi Qasim
Hai tera sab aab-o-dana Madni Madine wale
Main ghareeb be-sahara kahan aur hai guzara
Mujhe aap hi nibhala Madni Madine wale
Yeh karam bara karam hai tere hath mein bharam hai
Sar-e-hashr bakhshwana Madni Madine wale
Kabhi jo ki moti roti to kabhi khajoor pani
Tera aisa sada khana Madni Madine wale
Hai chatai ka bichhona kabhi khak hi pe sona
Kabhi hath ka sirhana Madni Madine wale
Teri saadgi pe lakhon teri aajizi pe lakhon
Hoon salam aajizana Madni Madine wale
Mere Shah! waqt-e-rukhsat mujhe meetha sharbat
Teri deed ka pilana Madni Madine wale
Mile naz'a mein bhi rahat rahoon qabr mein salamat
Tu azab se bachana Madni Madine wale
Ghap andheri qabr mein jab mujhe chhor kar chalein sab
Mari qabr jagmana Madni Madine wale
Pas-e-marg sabz gumbad ki thandi thandi
Mujhe chhaon mein sulana Madni Madine wale
Ae Shafie-e-roz-e-mahshar! hai gunah ka bojh sar par
Main phansa mujhe bachana Madni Madine wale
Mere walidain-e-mahshar mein go bhool jayen sarwar
Mujhe tum na bhool jana Madni Madine wale
Shah! tishnagi bari hai yahan dhoop bhi khari hai
Shah-e-hauz-e-kausar aana Madni Madine wale
Mujhe afton ne ghera, hai museebaton ka dera
Ya Nabi madad ko aana Madni Madine wale
Tere dar ki hazri ko jo tarap rahe hain un ko
Shah! jald tu bulana Madni Madine wale
Koi is taraf bhi phera ho ghamon ka door andhera
Ae sarapa noor! aana Madni Madine wale
Koi paye bakht-e-war gar hai sharaf-e-shahi se barh kar
Tere na'l-e-pak uthana Madani Madinay walay
Mera seena ho Madina meray dil ka aabgeena
Bhi Madina hi banana Madani Madinay walay
Ae Habib-e-Rabb-e-Bari hai gunah ka bojh bhari
Tumhein hashr mein chhurana Madani Madinay walay
Meri aadatein hon behtar banoon sunnaton ka paikar
Mujhay muttaqi banana Madani Madinay walay
Shahi! aisa jazba paoon keh mein khoob seekh jaoon
Teri sunnatain sikhana Madani Madinay walay
Tere naam par ho wari meri jaan, Habib-e-Bari
Ho naseeb sab lutana Madani Madinay walay
Teri sunnaton pe chal kar meri rooh jab nikal kar
Chalay to galay lagana Madani Madinay walay
Hain muballigh-e-Aaqa jitnay karo door un se fitnay
Buri maut se bachana Madani Madinay walay
Meray Ghous ka waseela rahay shaad sab qabeela
Inhein khuld mein basana Madani Madinay walay
Meray jis qadar hain ahbaab inhein kar dein Shah-e-betab
Milay ishq ka khazana Madani Madinay walay
Meri aanay wali naslain tere ishq hi mein machlain
Inhein nek tu banana Madani Madinay walay
Milay sunnaton ka jazba meray bhai chhorein Maula
Sabhi darhiyan mundana Madani Madinay walay
Meri kaash! sari behnein, rahein Madani burqon mein
Ho karam Shah-e-Zamana Madani Madinay walay
Do jahan ke khazanay diye haath mein Khuda ne
Tera kaam hai lutana Madani Madinay walay
Tera gham hi chahay Attar isi mein rahay giraftar
Gham-e-maal se bachana Madani Madinay walay