Mustafa Khair-ul-Wara ho, Sarwar-e-har dusra ho
Apne achhon ka tasaddaq, hum badon ko bhi nibaho
Kis ke phir ho kar rahein hum, gar tumhein hum ko na chaho
Bad hansein tum un ki khatir, raat bhar roo kar raho
Bad karein har dam burai, tum kaho un ka bhala ho
Hum wahi nashta-ru hain, tum wahi bahr-e-ata ho
Hum wahi shayan-e-radd hain, tum wahi shan-e-sakha ho
Hum wahi be-sharm-o-bad hain, tum wahi kaan-e-haya ho
Hum wahi nang-e-jafa hain, tum wahi jaan-e-wafa ho
Hum wahi qabil-e-saza ke, tum wahi Raheem-e-Khuda ho
Charkh badle dahr badle, tum badalne se wara ho
Ab hamein hon saho hasha, aisi bhoolon se juda ho
Umr bhar to yaad rakha, waqt par kya bhoolna ho
Waqt-e-paidaish na bhoole, Kaifa yansa kyun qaza ho
Yeh bhi Maula arz kar doon, bhool agar jao to kya ho
Woh ho jo tum par garan hai, woh ho jo hargiz na chaho
Woh ho jis ka naam lete, dushmanon ka dil bura ho
Woh ho jis ke khatir, raat din waqf-e-dua ho
Mar mitein barbad bande, khana abad aag ka ho
Shad ho Iblees-e-mal'oon, gham kise us qahar ka ho
Tum ko ho Wallah tum ko, jaan-o-dil tum par fida ho
Tum ko gham se Haq bachaye, gham adu ko jaan-gaza ho
Tum se gham ko kya talluq, be-kason ke gham-zada ho
Haq darooden tum pe bheje, tum mudam us ko saraho
Woh ata de tum ata lo, woh wahi chahe jo chaho
Bar to ao pashad to bar ma, ta abad yeh silsila ho
Kyun Raza mushkil se dariye
Jab Nabi mushkil kusha ho