Muzdah baad ae aasiyo! Shafee-e-Shah-e-Abrar hai
Tahniyat ae mujrimo! Zaat-e-Khuda Ghaffar hai
Arsh sa farsh-e-zameen hai farsh-e-pa arsh-e-bareen
Kya nirali tarz ki naam-e-Khuda raftaar hai
Chand shaq ho peed bolain janwar sajde karain
Barakallah marja-e-alam yahi sarkar hai
Jin ko su-e-aasman phaila ke jal thal bhar diye
Sadqa un hathon ka pyare hum ko bhi darkar hai
Lab-e-zulal-e-chashma kun mein gundhay waqt-e-khameer
Murday zinda karna ae jaan tum ko kya dushwar hai
Goray goray paon chamka do Khuda ke waste
Noor ka tarka ho pyare gor ki shab-e-tar hai
Tere hi daman pe har aasi ki padti hai nazar
Ek jaan-e-be-khata par do jahan ka baar hai
Josh-e-toofan bahr-e-be-payan hua na saazgar
Nooh ke Maula karam kar le to beda paar hai
Rahmatul-lil-aalameen teri duhai dab gaya
Ab to Maula be-tarah sar par gunah ka baar hai
Hairatain hain aayina dar-e-wafoor-e-wasf-e-gul
Un ke bulbul ki khamoshi bhi lab-e-izhar hai
Goonj goonj uthay hain naghmat-e-Raza se bostan
Kyun na ho phool ki midhat mein wa minqar hai