Na daulat na maal aur khazinay ki baatein
Sunao hamein bas Madinay ki baatein
Madinay ki baatein sunao ke hain yeh
Mareez-e-mohabbat ke jeenay ki baatein
Muqaddas hain deegar mahinay bhi lekin
Nirali hain Hajj ke mahinay ki baatein
Sunao na peeron ke qissay, sunao
Madinay ke pyaray safinay ki baatein
Na kar mushk-o-anbar ki baatein, bayaan kar
Nabi ke muattar paseenay ki baatein
Meri yaad-e-goi ki aadat nikalo
Karoon mein hamesha qareenay ki baatein
Fuzool aur bekar baton ke badlay
Karoon kaash! har dam Madinay ki baatein
Garmi mein mashroob thanda hai marghoob
Karo jaam-e-Aaqa se peenay ki baatein
Shahan mera seena Madina banado
Khayalon mein hoon bas Madinay ki baatein
Banay kaash! Attar aisa muballigh
Muwassir hoon Aaqa kameenay ki baatein