Na kyun aaj jhoomein ke sarkar aaye
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Na kyun aaj jhoomein ke sarkar aaye, khuda ki khudai ke mukhtaar aaye.
Na kyun barahoon par hamein pyaar aaye, ke aaye isi roz sarkar aaye.
Woh aaye do-aalam ke mukhtaar aaye, lo aaj aaye ummat ke ghamkhwaar aaye.
Musarrat se hum kyun na dhoomein machaayein, hamaare shehanshah-o-sardaar aaye.
Musalmano! subh-e-bahaaraan mubarak, woh barsaate anwaar sarkar aaye.
Mubarak tujhe Aamina ho mubarak, tere ghar shehanshah-e-abraar aaye.
Mubarak Haleema tujhe bhi mubarak, tere ghar mein nabiyon ke sardaar aaye.
Mubarak tumhein gham ke maaro mubarak, madaawa-e-gham ban ke ghamkhwaar aaye.
Sawaal apni ummat ki bakhshish ka karte, woh hum aasiyon ke tarafdar aaye.
Yateemon ke waali gareebon ke haami, woh aafat-zadon ke madadgaar aaye.
Museebat ke maaron ki dhaaras bandhaane, shikasta dilon ke khareedaar aaye.
Siyaahi hamaare gunaahon ki dhone, bahaate hue ashk-e-sarkar aaye.
Jahan mein woh sukh bithaane ko deen ka, mitaane woh baatil ke aasaar aaye.
Na kyun aaj jashn-e-wiladat manayein, nazar Rab ki rehmat ke aasar aaye.
Adu hum ko baarah ka kyun na pyaara, ke baarah ko duniya mein sarkar aaye.
Ghata chha gayi har taraf rehmaton ki, woh lehraate gesuye-e-khumdaar aaye.
Chalo ae gadaao! chalo be-nawaao, lutaate woh naimat ke anbaar aaye.
Daroodon ke gajre liye ab barho tum, woh aaye rasoolon ke salaar aaye.
Nahin jin ki pyaari zabaan par nahin hai, woh makke mein sakhiyon ke sardaar aaye.
Wiladat ka sadqa jiyon mein jahan tak, na nazdeek duniya-e-bekaar aaye.
Wiladat ka sadqa hamein apna gham do, Shahba chashm-e-nam ke talabgaar aaye.
Wiladat ka sadqa ho akhlaaq achha, na hum ko kisi shah bekaar aaye.
Wiladat ka sadqa gunaahon se nafrat, ho, achhaiyon par mujhe pyaar aaye.
Wiladat ka sadqa baqi-e-mubarak, ki do gaz zameen ke talabgaar aaye.
Wiladat ka sadqa hoon paaband-e-sunnat, hamein aar fashion se sarkar aaye.
Wiladat ka sadqa bayaan mein asar do, ho islaah is ki jo badkaar aaye.
Wiladat ka sadqa madine mein aaqa, mujhe maut ae mere sarkar aaye.
Wiladat ka sadqa naqaab ab utha do, liye hum sab umeed-e-deedaar aaye.
Wiladat ka sadqa jagah bahar-e-markaz, mile yeh arz sarkar aaye.
Wiladat ka sadqa parosi banaana, Shahba khuld mein jab yeh badkaar aaye.
Wiladat ka sadqa Shahba zindagi bhar, madine mein har saal Attar aaye.