Naar-e-dozakh ko chaman kar de bahaar-e-aariz
Zulmat-e-hashr ko din kar de nahaar-e-aariz
Main toh kya cheez hoon khud Sahib-e-Qur'an ko shaha
Laakh mushaf se pasand aayi bahaar-e-aariz
Jaise Qur'an hai wird us gul-e-mehboobi ka
Yun hi Qur'an ka wazifa hai waqar-e-aariz
Garcha Qur'an hai na Qur'an ki barabar lekin
Kuch toh hai jis pe hai woh madh-e-nigar-e-aariz
Toor kya arsh jalay dekh ke woh jalwa-e-garm
Aap aariz ho magar aayina-daar-e-aariz
Tarfa aalam hai woh Qur'an idhar dekhein udhar
Mushaf-e-paak ho hairan-e-bahaar-e-aariz
Tarjuma hai yeh sifat ka woh khud aayina-e-zaat
Kyun na mushaf se zyada ho waqar-e-aariz
Jalwa farmayein rukh-e-dil ki siyahi mit jaaye
Subah ho jaaye Ilahi shab-e-taar-e-aariz
Naam-e-Haq par karay mehboob dil-o-jaan qurban
Haq karay arsh se ta farsh nisaar-e-aariz
Mushk-bo zulf se rukh chehra se baalon mein shuaa
Mo'jiza hai halab-e-zulf-o-titaar-e-aariz
Haq ne bakhsha hai karam nazr-e-gadayaan ho qabool
Pyaray ek dil hai woh karte hain nisaar-e-aariz
Aah be-mayagi-e-dil ke Raza-e-mohtaaj
Le kar ek jaan chala behr-e-nisaar-e-aariz