Nida hogi yeh mehshar mein gunahgaro na ghabrao
Woh dekho abr-e-rehmat jhoom kar utha Muhammad ka
Agarcha aabidon ke paas saman-e-ibadat hai
Gunahgaron ko kafi hai fakat imma Muhammad ka
Lahad ka khauf kyon ho roz-e-mehshar ka ho kya khatka
Liye jata hoon dil par likh ke main tughra Muhammad ka
Khuda ke samne peshi hui jis dam to keh doon ga
Bura hoon ya bhala lekin hoon main banda Muhammad ka
Taajub kya agar munh pher le jannat se shaidai
Ke hai rashk-e-bahar-e-khuld har koocha Muhammad ka
Koi jaye ga dozakh ko koi jannat mein pahunche ga
Madine ki taraf daure ga deewana Muhammad ka