Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum
Ya Ilahi kyun utrein paar hum
Kis bala ki may se hain sarshaar hum
Din dhala hote nahin hushyaar hum
Tum karam se mushtari har ayb ke
Jins-e-maqbool-e-har bazaar hum
Dushmanon ki aankh mein bhi phool tum
Doston ki bhi nazar mein khaar hum
Lagzish-e-paa ka sahara ek tum
Girne wale laakhon na-hanjaar hum
Sadqa apne bazuo'n ka al-madad
Kaise torein yeh but-e-pindaar hum
Dam qadam ki khair aye jaan-e-maseeh
Dar pe laaye hain dil-e-bimaar hum
Apni rahmat ki taraf dekhein huzoor
Jaante hain jaise hain badkaar hum
Apne mehmanon ka sadqa ek boond
Mar mite pyaase idhar sarkaar hum
Apne gochay se nikala to na do
Hain to had bhar ke khudai khwaar hum
Hath utha kar ek tukda aye kareem
Hain sakhi ke maal mein haqdar hum
Chandni chhatki hai un ke noor ki
Aao dekhein sair-e-toor-o-naar hum
Himmat aye za'f un ke dar par gir ke hoon
Be-takalluf saaya-e-deewar hum
Ba-ata tum shah tum mukhtar tum
Be-nawa hum zaar hum naachaar hum
Tum ne to laakhon ko jaanein pher dein
Aisa kya rakhte hain aazaar hum
Apni sattari ka ya Rabb wasta
Hoon na ruswa bar sar-e-darbar hum
Itni arz-e-aakhiri keh do koi
Naao tooti aa pare manjhdhaar hum
Munh bhi dekha hai kisi ke afv ka
Dekh o isyaan nahin be-yaar hum
Main nisaar aisa musalman kijiye
Tod daalein nafs ka zunnar hum
Kab se phailaye hain daaman tegh-e-ishq
Ab to payein zakhm-e-daaman-daar hum
Sunniyat se khatke sab ki aankh mein
Phool ho kar ban gaye kya khaar hum
Na-tawani ka bhala ho ban gaye
Naqsh-e-paaye talibaan-e-yaar hum
Dil ke tukde nazr-e-hazir laaye hain
Aye sagaan-e-gochay-e-dildaar hum
Qismat-e-Thaur-o-Jara ki hirs hai
Chahte hain dil mein gehra ghaar hum
Chashm-e-poshi-o-karam shaan-e-shuma
Kaar-e-ma be-baaki-o-israar hum
Fazl-e-gul sabza saba masti shabaab
Chhorein kis dil se dar-e-khummar hum
Maikada chhota hai lillah saqiya
Ab ke saghar se na hon hoshiyar hum
Saqi-e-Tasneem jab tak aa na jaayein
Ae siyah masti na hon hoshiyar hum
Nazishein karte hain aapas mein malak
Hain ghulaman-e-shah-e-abraar hum
Lutf-e-az khud raftagi ya rab naseeb
Hoon shaheed-e-jalwa-e-raftaar hum
Un ke aage dawa-e-hasti Raza
Kya bike jaata hai yeh har baar hum