Paon woh aankh tujh se aye Parwardigar mein
Rota rahoon gham-e-Nabi mein zaar zaar mein
Din raat hijr-e-Shah mein aahein bhara karoon
Roya karoon firaq mein zaar-o-qataar mein
Kehna na Hajj mubarak aye ahl-e-watan mujhe
Haaye firaq-e-Taiba se hoon dilfagaar mein
Daagh-e-mufaraqat jo mila kaash! ab aisa ho
Roya karoon firaq mein zaar-o-qataar mein
Seena tapan ata ho milay qalb-e-muztarib
Gham mein tumharay kaash! rahoon beqarar mein
Dasht-e-haram pe waari mein, qumri chaman pe tu
Tu phool le ke Taiba ka leta hoon khaar mein
Woh din ab aaye khair se Yarab-e-Mustafa
Soo-e-Madina chal paroon phir ashkbaar mein
Joon hi mujhe Habib ka jalwa naseeb ho
Aye kaash! jaan us ghari kar doon shumaar mein
Zuhd-o-wara mein ya Nabi tum be-misaal ho
Be-had gunahgar mein isyan shaar mein
Gum ho ke ishq-e-Mustafa mein aye Khuda-e-Pak
Karta rahoon bayaan sada ashkbaar mein
Tableegh-e-deen ke liye dar dar phiroon aye kaash!
Talib hoon aisay walwalay ka kirdgar mein
Attar nekiyan na theen zaad-e-safar mein kuch
Le kar gaya tha dar pe bas ashkon ka baar mein