Parhoon woh matla-e-Noori sana-e-Mehr-e-Anwar ka
Ho jis se qalb-e-roshan jaise matla-e-Mehr-e-Mahshar ka
Sar-e-Arsh-e-Ula pohancha qadam jab mere Sarwar ka
Zaban-e-Qudsiyan par shor tha Allahu Akbar ka
Bana Arsh-e-Bareen masnad-e-kaf-e-paaye munawar ka
Khuda hi jaanta hai martaba Sarkar ke sar ka
Do alam sadqa paate hain mere Sarkar ke dar ka
Isi Sarkar se milta hai jo kuch hai muqaddar ka
Bade darbar mein pohanchaya mujh ko meri qismat ne
Main sadqe jaon kya kehna mere achay muqaddar ka
Hai khushk-o-tar pe qabza jis ka woh Shah-e-Jahan yeh hai
Yahi hai Badshah-e-Bar ka yahi Sultan-e-Samundar ka
Mitay zulmat-e-jahan ki noor ka tarka ho alam mein
Naqab ruye Anwar aye mere Khursheed-e-Ab-e-Sar ka
Ziya bakhshi teri Sarkar ki aalam pe roshan hai
Mah-o-Khursheed sadqa paate hain pyare tere dar ka
Nigah-e-Mehr se apni banaya Mehr-e-zarron ko
Ilahi noor-e-duna ho Mehr-e-zarra parwar ka
Tabq par aasman ke likhta main na'at-e-Shah-e-wala
Qalam aye kaash mil jaata mujhe Jibrail ke par ka
Muqabil un ke zarra ke zara munh nikal aaya
Bohat shehra suna karte thay hum Khursheed-e-Mahshar ka
Jamal-e-Haq numa dekhein ayan noor-e-Khuda paayen
Kaleem aayen hata dekhein zara parda tere dar ka
Na saya rooh ka hargiz na saya noor ka hargiz
Tu saya kaisa us jaan-e-jahan ke jism-e-anwar ka
Woh aaina agar dekhein to apne aap ko dekhein
Kahan hai aaina mein aur koi un ke barabar ka
Mahal-e-aql hai tera mumasil ae mere sarwar
Tu hum kar nahi sakta hai aaqil tere humsar ka
Khuda shahid Raza ka aap ki talib-e-khuda hoga
Ta'ala Allah rutba mere haami mere yaawar ka
Daba jaata pija jaata hoon main aaqa duhai hai
Ye bhari bojh isyan ka mere sar ka zara sarka
Bujhe gi sharbat-e-deedar hi se tashnagi apni
Tumhari deed ka pyasa hoon yun pyasa hoon Kausar ka
Zaban par jam gaye kaante hai sara halaq khushk apna
Shaheed-e-Karbala ka sadqa do ek jaam-e-Kausar ka
Kami kuch bhi khazane mein tumhare ho nahi sakti
Tumhein haq ne ata farma diya jab chashma-e-Kausar ka
Jo aab-o-taab dandan-e-munawwar dekh loon Noori
Mira bahr-e-sukhan sar chashma ho khush aab-e-gauhar ka