Payam le ke jo aayi saba madine se
Mariz-e-ishq ki layi dawa madine se
Suno to gaur se aayi sada madine se
Qareen hai rehmat-e-fazl-e-khuda madine se
Mile hamare bhi dil ko jala madine se
Ke mehr-o-maah ne payi ziya madine se
Tumhari ek jhalak ne kiya use dilkash
Farogh-e-husn ne paya shiha madine se
Tamam shah-o-gada pal rahe hain us dar se
Mili jahan ko rozi sada madine se
Jo aaya le ke gaya kaun lauta khaali haath
Batade koi suna ho jo 'la' madine se
Batade koi aur se bhi kuch paya
Jise mila jo mila woh mila madine se
Woh aaya khuld mein jo aagaya madine mein
Gaya woh khuld se jo chal diya madine se
Na chain paaye ga ye ghamzada kisi surat
Mariz-e-gham ko mile gi shifa madine se
Lagao dil ko na duniya mein har kisi shey se
Ta'alluq apna ho ka'abe se ya madine se
Gada ki raah jahan dekhein phir nawa kyun ho
Nawa se pehle mile be-nawa madine se
Chaman ke phool khule murda dil bhi jee uthe
Naseem-e-khuld se aayi hai ya madine se
Kare gi murdon ko zinda ye tishnon ko sairab
Woh dekho uthi karam ki ghata madine se
Madina chashma-e-aab-e-hayat hai yaaro
Chalo hamesha ki le lo baqa madine se
Faza-e-khuld ke qurban magar woh baat kahan
Mil aayen hazrat-e-rizwan zara madine se
Hamare dil ko to bhaya hai Taiba hi Zahid
Tumhein hai Makka to hoga sawa madine se
Chale jo Taiba se muslim to khuld mein pahunche
Ke seedha khuld ka hai rasta madine se
Tum ek aan mein aaye gaye tumhare liye
Do gaam bhi nahin arsh-e-ala madine se
Tumhare qadmon pe sadqe jaan fida hojaye
Na laye phir mujhe mera khuda madine se
Tere habeeb ka pyara chaman kiya barbad
Ilahi nikle ye Najdi bala madine se
Tere naseeb ka Noori mile ga tujh ko bhi
Le aaye hissa ye shah-o-gada madine se