Phir Madine ki fazayein pa gaya
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Apnay sar par laad kar baar-e-gunah
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Ah! pallay nekiyan kuch bhi nahi
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Us ke naamay ki siyahi door ho
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Nekiyon se woh badal us ke gunah
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Deejiye us ko shafa'at ki sanad
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Az paye Ghous-o-Raza ho maghfirat
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Sadqa shahzadon ka ho chashm-e-karam
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Le kar umeed-e-karam jaan-e-karam
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Wasila Zahra ka do khuld-e-bareen
Ya RasoolAllah mujrim aa gaya
Us ko bhi tum to lagatay ho galay
Jis ko har darwazay se tha laya
Ae meray sarwar ata ho chashm-e-tar
Bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Qalb-e-muztar ka sawali hoon shaha! bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Deejiye soz-e-jigar Sultan-e-Deen! bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Mera seena hi Madina do bana bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Ya Nabi qufl-e-Madina deejiye bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Sayyadi! akhlaq achay kijiye bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Le ke kashkol Aap ke darbar mein bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Door ho jaye gunahon ka marz bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Do bana mujh ko pasandida ghulam bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Daulat-e-ikhlas ho Aaqa ata bheek lenay dar pe mangta aa gaya
Aap ki nazar-e-karam hi padi abr-e-rehmat meray sar par cha gaya
Al-madad ae Aamna ke ladlay haye! mujh par nafs ghalib aa gaya
Badr-e-kamil dekh kar talwar atra faq hua pheeka pada sharma gaya
Allah Allah! Aap ka husn-o-jamal dost kya dushman ke dil ko bha gaya
Dushman-e-Mehboob Abu Jahl la'een Badr mein ruswa hua mara gaya
Gulshan-e-aalam ki kya dekhein bahar meray dil ko dasht-e-Taiba bha gaya
Nakhun-e-pa ki ziyayein marhaba yeh hilal-e-Eid bhi sharma gaya
Sabz gumbad ki baharein dekh lo aankh kholo dekho Roza aa gaya
Le ke palta un se mangi murad jo koi darbar mein mangta aa gaya
Qafila su-e-Madina jab chala lab pe na'aton ka tarana aa gaya
Chand do tukray hua sadqay gaya jab ishara Mustafa ka pa gaya
Pak marzi-e-sarwar-e-konain ki dooba sooraj phir palat kar aa gaya
Marhaba sall-e-ala ka shor utha hashr mein jab un ka deewana aa gaya
Naaz uthaye thay jahan mein jis ke woh hashr mein naazon ka pala aa gaya
Hashr mein un ke gada ko dekh kar khud jahannam ko paseena aa gaya
Aankh thandi ho teray deedar se talib-e-deedar dar par aa gaya
Shor utha mehshar mein yeh charon taraf aa gaya Aaqa, aa gaya un ka aa gaya