Phir se bulao jald Madine mein Ya Rasool
Kardo karam huzoor! paye Fatima Batool
Duniya parast zar pe mare gul pe andaleeb
Apna toh intekhab Madine ka hai bubool
Bimar-e-hijr ka abhi ho jaye ga ilaaj
Jao utha ke lao Madine ki thodi dhool
Duniya ki lizzaton se meri jaan chhoot jaye
Mujh ko bana de Ya Khuda toh Ashiq-e-Rasool
Meri zaban tar rahe zikr-o-darood se
Beja hanson kabhi na karoon guftagu fuzool
Meri pasand khar-e-Madina hai bulbulon
Lekin main kya karoon ga tumhare yahan ke phool
Khush bakht beshumar Madine mein dafn hain
Ho jaye un mein kash! mera bhi kabhi shumool
Parchar sunnaton ka jo karta hai raat din
hardam ho us pe rehmaton ka Ya Khuda nazool
Deta hoon tujh ko wasta Ya Rab huzoor ka
Har har khata toh baksh de kar har mu'aaf bhool
Ghaus-o-Raza ka wasta Ya Shafe-e-Ummam
Rakhna na mujh ko hashr mein ranjeeda-o-malool
Gar lamha bhar bhi hazri-e-Taiba ki ho naseeb
Hasil yehi hai zeest ka mehnat hui wusool
Sarkar! chaar yaar ke sadqe mein ho karam
Attar ko sada ke liye kar lo tum qabool