Phir utha walwala-e-yad-e-Moghilan-e-Arab
Phir khancha daman-e-dil soo-e-bayaban-e-Arab
Bagh-e-Firdous ko jate hain hazaran-e-Arab
Haaye sahra-e-Arab haaye bayaban-e-Arab
Meethi baatein teri deen-e-Ajam iman-e-Arab
Namkeen husn tera jaan-e-Ajam shan-e-Arab
Ab to hai girya-e-khoon gohar-e-daman-e-Arab
Jis mein do la'al thay Zehra ke woh thi kaan-e-Arab
Dil wohi dil hai jo aankhon se ho hairan-e-Arab
Aankhein woh aankhein hain jo dil se hon qurban-e-Arab
Haaye kis waqt lagi phans-e-alam ki dil mein
Ke bohat door rahe khar-e-Moghilan-e-Arab
Fazl-e-gul lakh na ho wasl ki rakh aas hazar
Phoolte phalte hain be-fazl gulistan-e-Arab
Sadqay honay ko chalay aatay hain lakhon gulzar
Kuch ajab rang say phoola hay gulistan-e-Arab
Undaleebi pay jhagartay hain katay martay hain
Gul-o-bulbul ko larata hay gulistan-e-Arab
Sadqay rehmat kay kahan phool kahan khaar ka kaam
Khud hay daaman kash-e-bulbul gul-e-khandan-e-Arab
Shaadi-e-hashr hay sadqay mein chhutain gay qaidi
Arsh par dhoom say hay dawat-e-mehman-e-Arab
Charhay hotay hain yeh kumhlaye huay phoolon mein
Kyun yeh din dekhtay patay jo bayaban-e-Arab
Teray be-daam kay banday hain raeesan-e-Ajam
Teray be-daam kay bandi hain hazaran-e-Arab
Husht khuld aayen wahan kasb-e-latafat ko Raza
Chaar din barsay jahan abr-e-baharan-e-Arab