Poochay ga Maula laya hai kya kya
Main yeh kahunga naam-e-Muhammad
Gham ki ghataein chhayi hain sar par
Karde ishara naam-e-Muhammad
Ranj o alam mein hain naam-e-lewa
Karde ishara naam-e-Muhammad
Bera tabahi mein aa gaya hai
De-de sahara naam-e-Muhammad
Zakhmi jigar par majrooh dil par
Marham laga ja naam-e-Muhammad
Dil mein adawat khar ke bhari hai
Najdi na le ga naam-e-Muhammad
Apne Raza ke qurban jaaun
Jis ne sikhaya naam-e-Muhammad
Aankhon mein aa kar dil mein sama kar
Rangat racha ja naam-e-Muhammad
Apne Jamil-e-Razvi ke dil mein
Aaja sama ja naam-e-Muhammad