Allah Allah Allah Allah
Qalb ko us ki ru'yat ki hai aarzoo
Jis ka jalwa hai aalam mein har char soo
Balkeh khud nafs mein hai woh Subhanah
Arsh par hai magar arsh ko justaju
Allah Allah Allah Allah
Arsh-o-farsh-o-zaman-o-jihat ae Khuda
Jis taraf dekhta hoon hai jalwa tera
Zarre zarre ki aankhon mein tu hi ziya
Qatre qatre ki tu hi tu hai aabroo
Allah Allah Allah Allah
Tu kisi ja nahin aur har ja hai tu
Tu munazza makan se mubarra ze soo
Ilm-o-qudrat se har ja hai tu go-ba-go
Tere jalwe hain har har jagah ae Afu