Rah-e-irfan se jo hum nadeeda-e-ru mehram nahin
Mustafa hai masnad-e-irshad par kuch gham nahin
Hun musalman garchay naqis hi sahi aye kaamlo!
Mahiyat paani ki aakhir-em se nam mein kam nahin
Ghunchay Ma-Awha ke jo chatke bagh mein
Bulbul-e-Sidra tak un ki bu se bhi mehram nahin
Us mein zam-zam hai ke tham-tham us mein jam-jam hai ke besh
Kasrat-e-Kauthar mein zam-zam ki tarah kam-kam nahin
Panja-e-Meher-e-Arab hai jis se darya beh gaye
Chashma-e-khursheed mein to naam ko bhi nam nahin
Aisa Ummi kis liye minat-kash-e-ustad ho
Kya kifayat us ko Iqra Rabbukal Akram nahin
Us meher-e-hashr par par jaye piyaso to sahi
Us gul-e-khandan ka rona girya-e-shabnam nahin
Hai unhein ke dam-e-qadam ki bagh-e-aalam mein bahar
Woh na thay aalam na tha gar woh na hon aalam nahin
Saya-e-deewar-o-khak-e-dar ho ya Rabb aur Raza
Khwahish-e-duheem-e-Qaisar, shauq-e-takht-e-Jam nahin