Rukh din hai ya meher sama, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Shab-e-zulf ya mushk-e-khata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Mumkin mein yeh qudrat kahan, wajib mein abdiyat kahan
Hairan hoon yeh bhi hai khata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Haq yeh ke hain abd-e-ilah, aur aalam-e-imkan ke shah
Barzakh hain woh sirr-e-khuda, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Bulbul ne gul un ko kaha, Qumri ne sarv-e-jaan fiza
Hairat ne jhanjhla kar kaha, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Khurshid tha kis zor par, kya barh ke chamka tha qamar
Be-parda jab woh rukh hua, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Dar tha ke isyan ki saza, ab hogi ya roz-e-jaza
Di un ki rehmat ne sada, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Koi hai naazaan zuhd par, ya husn-e-tauba hai sipehr
Yaan hai faqat teri ata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Din lahu mein khona tujhe, shab subah tak sona tujhe
Sharm-e-Nabi khauf-e-Khuda, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Rizq-e-Khuda khaya kiya, farman-e-Haq tala kiya
Shukr-e-karam tars-e-saza, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Hai bulbul-e-rangeen Raza, ya tooti-e-naghma sara
Haq yeh ke wasif hai tera, yeh bhi nahin woh bhi nahin