Sa'adat ab madinay ki ata ho karam chashm-e-karam ya mustafa ho
Madinay ki baharein dekhnay ki ijazat marhamat ab to shaha ho
Woh lamhat-e-musarrat aaein phir se meray pesh-e-nazar gumbad-e-hara ho
Sada dil ishq mein tarpa karay aur yeh taar-e-ashkon ka aankhon se bandha ho
Sunahri jaliyon ke rubaru kaash! mera jalwon mein un ke khatima ho
Meray Aaqa! baraye peer-o-murshid baqi-e-pak mein madfan ata ho
Jab Aaqa qabr mein jalwa numa hon to lab par "Marhaba ya Mustafa" ho
Mohabbat maal ki chutti nahi hai karam! dunya se mera dil bura ho
Main aisa aashiq-e-sadiq banun kaash! hansi lab par rahay dil ro raha ho
Gunahon ke sabhi amraz hon door ata meray tabeeb aisi dawa ho
Kalejay se lagatay hain usay bhi jisay har ek ne thukra diya ho
Parosi khuld mein apna bana lo karam Aaqa paye Ahmad Raza ho
Jagah jannat mein woh dena jahan par murshadi Ahmad Raza ho
Mari qismat ki jitni guthiyan hain sulajh sakti hain Aaqa tum jo chaho
Adu us ka bagaray ga bhala kya! Muhammad Mustafa ka jo gada ho
Inayat deen par ho istiqamat meri maqbool ya rab yeh dua ho
Khudaya wasta meethay Nabi ka sharaf Attar ko hajj ka ata ho