Saaray nabiyon ka sarwar Madeenay mein hai sab rasoolon ka afsar Madeenay mein hai
Lutf-e-jannat se barh kar Madeenay mein hai meethay mehboob ka ghar Madeenay mein hai
Kya hawa bhi muattar Madeenay mein hai sab faza bhi munawwar Madeenay mein hai
Kar ke hijrat yahan aa gaye Mustafa roshni aaj ghar ghar Madeenay mein hai
Jaantay ho Madeena hai kyun dil-pasand donon aalam ka sarwar Madeenay mein hai
Saaray deewanay betaab hain is liye Shah ki qabr-e-anwar Madeenay mein hai
Noor ki dekho barsaat hai char soo kya samaan kaif-awar Madeenay mein hai
Hijr-o-furqat ke beemar ko le chalo rahat-e-jaan-e-muztar Madeenay mein hai
Door reh kar hai veeran si zindagi maut bhi kaif-awar Madeenay mein hai
Hai Madeenay ka rutba bara Khuld se kyun ke mehboob-e-Daawar Madeenay mein hai
Maaldaro! na itrao tum maal par un ka mangta tawangar Madeenay mein hai
Apni manzil ko pa lo gay aajao tum bholay bhatkon ka rahbar Madeenay mein hai
Bhool jao gay peeron ki sab ronaqein woh samaan rooh-parwar Madeenay mein hai
Dushmano! mat akela samajhna mujhay mera haami-o-yawar Madeenay mein hai
Aao isyaan nihalo yahan aake tum rehmaton ka samandar Madeenay mein hai
Hashr mein jaam-e-Kausar ki hai gar talab aao Saqi-e-Kausar Madeenay mein hai
Aao aao gunahgaro! aajao tum Shafe-e-roz-e-mehshar Madeenay mein hai
Ae shafaat ke umeed-waro! chalo Shafe-e-roz-e-mehshar Madeenay mein hai
Tum shafaat mein shak mat karo zairo! Shafe-e-roz-e-mehshar Madeenay mein hai
"Chal Madina" wahi ho sakay jis ka dil ghar mein reh kar bhi aksar Madeenay mein hai
"Chal Madina" ka deewano! muzda suno jald har ba-muqaddar Madeenay mein hai
Sabz gumbad ka Attar manzar to dekh kis qadar kaif-awar Madeenay mein hai