Sahab-e-rahmat bari hai barahwi tareekh
Karam ka chashma jaari hai barahwi tareekh
Hamein to jaan se pyaari hai barahwi tareekh
Adu ke dil ko katari hai barahwi tareekh
Isi ne mausam-e-gul ko kiya hai mausam-e-gul
Bahar-e-fasl-e-bahari hai barahwi tareekh
Bani hai surma-e-chashm-e-baseerat-o-imaan
Uthi jo gard-e-sawari hai barahwi tareekh
Hazar eid hon ek ek lahza par qurbaan
Khushi dilon pe woh taari hai barahwi tareekh
Falak pe arsh-e-bareen ka gumaan hota hai
Zameen-e-khuld ki kyari hai barahwi tareekh
Tamam ho gayi meelad-e-anbiya ki khushi
Hamesha ab teri baari hai barahwi tareekh
Qabr mein khoob kaam aati hai
Bekasoon ki hai yaar-e-ghaar durood
Unhein kis ki durood ki parwah
Bheje jab un ka kirdigar durood
Hai karam hi karam ke sunte hain
Aap khush ho ke baar baar durood
Jaan nikle to is tarah nikle
Tujh par aye ghamzadon ke yaar durood
Dil mein jalwe base hue tere
Lab se jaari ho baar baar durood
Aye Hasan khaar-e-gham ko dil se nikaal
Ghamzadon ki hai ghamgusar durood