Sarwar kahoon ke Maalik-o-Maula kahoon tujhe
Bagh-e-Khalil ka gul-e-zaiba kahoon tujhe
Hirman naseeb hoon tujhe umeed-gah kahoon
Jaan-e-murad-o-kaan-e-tamanna kahoon tujhe
Gulzar-e-quds ka gul-e-rangeen ada kahoon
Darman-e-dard-e-bulbul-e-sheeda kahoon tujhe
Subh-e-watan pe sham-e-ghariban ko doon sharaf
Be-kas nawaz gesuon wala kahoon tujhe
Allah re tere jism-e-munawwar ki tabishein
Ae jaan-e-jaan mein jaan-e-tajalla kahoon tujhe
Be-dagh lala ya qamar-e-be-kalaf kahoon
Be-khar gulban-e-chaman ara kahoon tujhe
Mujrim hoon apne afw ka saman karoon shaha
Ya'ni shafee-e-roz-e-jaza ko kahoon tujhe
Is murda dil ko muzda-e-hayat-e-abad ka doon
Tab-o-tawan-e-jan-e-maseeha kahoon tujhe
Tere to wasf ayb-e-tanahi se hain bari
Hairan hoon mere shah main kya kya kahoon tujhe
Keh le gi sab kuch un ke sana-khwan ki khamoshi
Chup ho raha hai keh ke main kya kya kahoon tujhe
Lekin Raza ne khatm-e-sukhan is pe kar diya
Khaliq ka banda khalq ka aaqa kahoon tujhe