Ya Rab mare dil mein hai tamannaye Madina
In aankhon se dikhla mujhe sehra-e-Madina
Nikle na kabhi dil se tamannaye Madina
Sar mein rahe Ya Rab mare sauda-e-Madina
Har zarra mein hai noor-e-tajlaye Madina
Hai makhzan-e-asrar sarapa-e-Madina
Aisa mari nazron mein sama jaye Madina
Jab aankh uthaoon to nazar aaye Madina
Phirte hain yahan Hind mein hum be-saro saman
Taiba mein bula lo hamein Aaqa-e-Madina
Is darja hain mushtaq-e-ziarat mari aankhein
Dil se yeh nikalti hai sada haye Madina
Yaad aata hai jab Rauza-e-purnoor ka gumbad
Dil se yeh nikalti hai sada haye Madina
Main wajd ke aalam mein karoon chaak-e-gareban
Aankhon ke mare samne jab aaye Madina
Kyun na jhukein khalq ke dil us ki taraf ko
Hai Arsh-e-Ilahi bhi to jooye Madina
Sar-e-Arsh ka kham hai tere Rauze ke muqabil
Aflak se oonche hain makaan haye Madina
Taiba ki zameen jhaadte aate hain malaik
Jibreel ke par farsh-e-mualla-e-Madina
Quran qasam khata na us shehar ki hargiz
Gar hota na woh gul chaman aaray-e-Madina