Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Shah-e-Batha ka mah-para hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki

Shah-e-Batha ka mah-para hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Shah-e-Batha ka mah-para hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Syeda Fatima ka pyara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Yeh toh sab awliya ka afsar hai, Ibn-e-Zahra hai Ibn-e-Haider hai Aur Husnain ka dulara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Ghaus-e-Azam hain Shah-e-Jilani, Peer-e-Lathani, Qutb-e-Rabbani Un ke ushaq ne pukara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Shehar-e-Baghdad mujh ko hai pyara, khoob dilkash wahan ka nazara Mera murshid jo jalwa-ara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Mil gaya mujh ko Ghaus ka daman, fazl-e-Rabb-e-Kareem se roshan Meri taqdeer ka sitara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Jab ke dunya mein murshidi aaye, batn-e-madar se hi wali aaye Jaan-o-dil un pe sab nisara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Mere murshid ne 'La takhaf' keh kar, door sab kar diya hai khauf aur darr Un ka mehshar mein bhi sahara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Ghaus ranj-o-alam mitate hain, us ko seenay se bhi lagate hain Aa gaya jo bhi gham ka mara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Ghaus peeron ke peer hain beshak, aur roshan zameer hain beshak Haal-e-dil un pe aashkara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Kyun na jaun mein Ghaus parwari, aafatein door ho gayin saari Jab tarap kar unhein pukara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Us ko mann ki murad milti hai, us ki bigri zaroor banti hai Jis ne daman yahan pasara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Jee uthay murday haq ki qudrat se, hukm-e-wala-e-Rabb-e-rehmat se Rab ko jab Ghaus ne pukara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Dard-o-aalam jab rulatay hain, Ghaus-e-Azam madad ko aatay hain Har jagah Ghaus ka sahara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Un ka dushman Khuda ka hai maqhoor, us ki rehmat se ho gaya woh door Bughz mein jis ne sar ubhara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Ghaus par toh qadam Nabi ka hai, un ke zer-e-qadam wali saaray Har wali ne yahi pukara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Ham ko 'Gyara' ka hai adad pyara, un ki tareekh-e-urs hai gyara Yun adad hum ko pyara gyara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki Khoob soorat hain gumbad aur minar, un pe rehmat barasti hai Attar Khoob darbar ka nazara hai, wah kya baat Ghaus-e-Azam ki