Shukriya aap ka Sultan-e-Madine wale
Mujh sa aasi bhi hai mehmaan-e-Madine wale
Mujh kamine ko Madine mein bulaya tum ne
Hai yeh ehsan pe ehsan Madine wale
Zair-e-qabr-e-munawwar ki shafaat hogi
Hai yahi aap ka farman Madine wale
Main bhi to zair-e-rauza hoon Rasool-e-Arabi!
Mujh ko mat bhoolna Sultan-e-Madine wale
Daulat-e-ishq se Aaqa meri jholi bhar do
Bas yahi ho mera saman Madine wale
Aap ke ishq mein ae kaash ke rote rote
Yeh nikal jaye meri jaan Madine wale
Tere dar par to adu ko bhi amaan milti hai
Main teri shan ke qurban Madine wale
Apne qadmon se Khuda ra na juda kijiye ga
Ho gunahgar pe ehsan Madine wale
Ap bhooke rahein aur pait pe patthar bandhein
Ne'amaton ke dein hamein khwan Madine wale
Hashr mein tum mere aibon ko chupaye rakhna
Hon gunahon pe pasheman Madine wale
Main Madine ki gali ka koi kutta hota
Kash! hota na main insan Madine wale
Mujh ko deewana Madine ka banalo Aqa
Bas yehi hai mera arman Madine wale
Ik jhalak chehra-e-anwar ki dikha do ab to
Waqt-e-rukhsat hai chali jaan Madine wale
Is gunahgar ko daman mein chhupa lo Aqa!
Yeh bechara hai pareshan Madine wale
Kash! Attar ho azad gham-e-dunya se
Bas tumhara hi rahe dhyan Madine wale