Subh-e-Taiba mein hui bata hai baara noor ka
Sadqa lene noor ka aaya hai tara noor ka
Baagh-e-Taiba mein suhana phool phoola noor ka
Mast bu hain bulbulen padhti hain kalma noor ka
Barahwin ke chand ka mujra hai sajda noor ka
Barah burjon se jhuka ek ek sitara noor ka
Unke qasr-e-qadr se khuld ek kamra noor ka
Sidra payen baagh mein nanha sa pauda noor ka
Arsh bhi firdaus bhi us shah-e-wala noor ka
Yeh mutaman burj woh mishkat-e-aala noor ka
Aayi bid'at chhayi zulmat rang badla noor ka
Maah-e-sunnat mehr-e-tal'at le le badla noor ka
Tere hi maathe raha ae jaan-e-sehra noor ka
Bakht-e-jaaga noor ka chamka sitara noor ka
Main gada tu baadshah bhar de pyala noor ka
Noor din duna tera de daal sadqa noor ka
Teri hi janib hai paanchon waqt sajda noor ka
Rukh hai qibla noor ka abru hai kaaba noor ka
Pusht par dhalka sar-e-anwar se shamla noor ka
Dekhein Musa Toor se utra saheefa noor ka
Taaj wale dekh kar tera amama noor ka
Sar jhukate hain Ilahi bol baala noor ka
Baini pur-noor par rakhshan hai bukka noor ka
Hai liwaul hamd par udta phariya noor ka
Mus-haf-e-aariz pe hai khat-e-shafeea noor ka
Lo siya karu mubarak ho qabala noor ka
Aab-e-zar banta hai aariz par paseena noor ka
Mus-haf-e-ijaaz par chadhta hai sona noor ka
Pech karta hai fida hone ko lam-a noor ka
Gard-e-sar phirne ko banta hai amama noor ka
Haibat-e-aariz se tharata hai shola noor ka
Kafsh-e-pa par gir ke ban jata hai gapha noor ka
Shama-e-dil mishkat-e-tan seena zujaja noor ka
Teri surat ke liye aaya hai surah noor ka
Mail se kis darja suthra hai woh putla noor ka
Hai gale mein aaj tak kora hi girta noor ka
Tere aage khaak par jhukta hai maatha noor ka
Noor ne paya tere sajde se seema noor ka
Tu hai saya noor ka har uzv tukda noor ka
Saya ka saya na hota hai na saya noor ka
Kya bana naam-e-Khuda Isra ka dulha noor ka
Sar pe sehra noor ka bar mein shahana noor ka
Bazm-e-wahdat mein maza hoga dubala noor ka
Milne shama-e-Toor se jata hai ikka noor ka
Wasf-e-rukh mein gaati hain hoorein tarana noor ka
Qudrati beenon mein kya bajta hai lehra noor ka
Yeh kitab-e-kun mein aaya hai tarfa aaya noor ka
Ghair qail kuch na samjha koi maana noor ka
Dekhne walon ne kuch dekha na bhala noor ka
Munh raayi kaisa yeh aaina dikhaya noor ka
Subh kar di kufr ki saccha tha muzda noor ka
Shaam hi se tha shab-e-teera ko dhadka noor ka
Padti hai noori bharan umda hai dariya noor ka
Sar jhuka ae rusht-e-kufr aata hai ahle noor ka
Naariyon ka daur tha dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka
Naskh-e-adyan kar ke khud qabza bithaya noor ka
Tajwar ne kar liya kaccha ilaqa noor ka
Jo gada dekho liye jata hai toda noor ka
Noor ki sarkar hai kya is mein toda noor ka
Bheek le sarkar se la jald kasa noor ka
Mah-e-nau Taiba mein batta hai mahina noor ka
Dekh un ke hote naziya hai dawa noor ka
Mehr likh de yaan ke zarron ko michka noor ka
Yaan bhi daagh-e-sajda-e-Taiba hai tamgha noor ka
Ae qamar kya tere hi maathe hai teeka noor ka
Shama saan ek ek parwana hai us ba-noor ka
Noor-e-haq se lo lagaye dil mein rishta noor ka
Anjuman wale hain anjam bazm-e-halqa noor ka
Chand par taaron ke jhurmat se hai hala noor ka
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka
Tu hai ain-e-noor tera sab gharana noor ka
Noor ki sarkar se paya doshala noor ka
Ho mubarak tum ko Zun-Noorain jora noor ka
Kis ke parde ne kiya aina andha noor ka
Mangta phirta hai aankhen har nagina noor ka
Ab kahan woh tabishen kaisa woh tarka noor ka
Mehr ne chup kar kiya khasa dhandlka noor ka
Tum muqabil the to pahron chand barhta noor ka
Tum se chhat kar munh nikal aaya zara sa noor ka
Qabr-e-Anwar kahiye ya qasr-e-mu'alla noor ka
Charkh-e-atlas ya koi sada sa qubba noor ka
Aankh mil sakti nahi dar par hai pehra noor ka
Taab hai be-hukm par maare parinda noor ka
Naz'a mein laute ga khak-e-dar pe shaida noor ka
Mar ke orhay gi uroos-e-jaan dupatta noor ka
Taab-e-mehr-e-hashr se chaunke na kushta noor ka
Bundiyan rehmat ki dene aayen cheenta noor ka
Waza-e-waze mein teri surat hai ma'ni noor ka
Yoon majazan chahen jis ko keh den kalma noor ka
Ambiya ajza hain to bilkul hai jumla noor ka
Is ilaaqe se hai un par naam sacha noor ka
Yeh jo mehr-o-mah pe hai itlaaq aata noor ka
Bheek tere naam ki hai ist'aara-e-noor ka
Sur mein aankhen hareem-e-haq ke woh mushkilen ghazal
Hai faza-e-la-makaan tak jin ka ramna noor ka
Taab-e-husn-e-garm se khul jayenge dil ke ganwal
Nau baharen layega garmi ka jhalka noor ka
Zarrey mehr-e-quds tak tere tawasut se gaye
Had-e-awsat ne kiya sughra ko kubra noor ka
Sabza-e-gardoon jhuka tha bahr-e-pa bos-e-buraq
Phir na seedha ho saka khaya woh kora noor ka
Taab-e-sum se chaundhiya kar chand uthen qadmon phira
Hans ke bijli ne kaha dekha chhalaawa noor ka
Deed-e-naqsh-e-sum ko nikli saat pardon se nigah
Putliyan bolin chalo aaya tamasha noor ka
Aks-e-sum ne chand suraj ko lagaye chaar chand
Par gaya seem-o-zar-e-gardoon pe sikka noor ka
Chand jhuk jata jidhar ungli uthate mahd mein
Kya hi chalta tha isharon par khilona noor ka
Ek seena tak mushaba ek wahan se paon tak
Husn-e-Sibtain unke jamon mein hai neema noor ka
Saaf shakal-e-pak hai donon ke milne se ayan
Khat-e-toam mein likha hai yeh do warqa noor ka
Kaj gesu dahan mayi abru ankhein a sa
Teh-e-as unka hai chehra noor ka
Ae Raza yeh Ahmad-e-Noori ka faiz-e-noor hai
Hogayi meri ghazal barh kar qasida noor ka