Sunnat hai safar deen ki tableegh ki khatir
Milta hai hamain dars yeh asfaar-e-Nabi se
Mastana Madeene mein Khuda aisa banade
Takra ke main dam tod doon deewar-e-Nabi se
Sadqe mein mere Ghous ke ho door andhera
Turbat ho munawwar meri anwar-e-Nabi se
Jab qabr mein aayenge to qadmon mein girunga
Khoob aankhein malunga main to peezar-e-Nabi se
Attar hai imaan ki hifazat ka sawali
Khali nahi jaega yeh darbar-e-Nabi se