Sunte hain ke mehshar mein sirf unki rasai hai
Garan unki rasai hai jo jab toh ban aayi hai
Machla hai ke rehmat ne umeed bandhayi hai
Kya baat teri mujram kya baat banayi hai
Sab ne saf-e-mehshar mein lalkar diya humko
Ae be-kason ke Aaqa ab teri duhayi hai
Yun toh sab unhin ka hai par dil ki agar pucho
Yeh toote hue dil hi khaas unki kamayi hai
Zair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyare
Uth mere akele chal kya der lagayi hai
Bazaar-e-amal mein toh sauda na bana apna
Sarkar karam tujh mein aibi ki samayi hai
Girte huaon ko muzda sajde mein gire Maula
Ro ro ke shafa'at ki tamheed uthayi hai
Ae dil yeh sulagna kya jalna hai toh jal bhi uth
Dam ghutne laga zalim kya dhuni ramayi hai
Mujrim ko na sharmao ahbab kafan dhak do
Munh dekh ke kya hoga parde mein bhala'i hai
Ab aap hi sambhalen to kaam apne sambhal jayen
Hum ne to kamai sab khelon mein ganwai hai
Ae ishq tere sadqe jalne se chhute saste
Jo aag bujha degi woh aag lagai hai
Hirs-o-hawas-e-bad se dil tu bhi sitam kar le
Tu hi nahi begana dunya hi parai hai
Hum dil jale hain kis ke hat fitnon ke par kale
Kyun phonk dun ek uf se kya aag lagai hai
Taiba na sahi afzal Makkah hi bada zahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat badhai hai
Matla mein yeh shak kya tha Wallah Raza Wallah
Sirf un ki rasai hai sirf un ki rasai hai