Taiba ke musafir mujhe toh bhool na jana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Ro ro ke Nabi ko mari roodaad sunana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Ho mujh pe karam sadqe mein Sultan-e-Duna ke
Dikhla de manazir mujhe Arafat-o-Mina ke
Kehta tha phir Allah mujhe Hajj pe bulana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Bechara Madine se bohat door para hai
Badkar sahi par tera deewana bada hai
Kehta tha mujhe hazri ka izn dilana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Kehna bada arsa hua Taiba nahin pahuncha
Barson se nahin dekh saka Gumbad-e-Khadra
Miskeen ko ab qadmon mein Sarkar bulana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Aye rah-e-Madina ke musafir tu theher kar
Majboor ki beeta zara sun kaan ko dhar kar
Kar Haq se dua ranj-o-alam iske mitana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Tu Rab ka hai mehmaan rah-e-janan ka hai azim
Main sakht gunahgar-o-khata kar hoon mujrim
Allah se kar arz ise dozakh se bachana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Allah ke ghar ka joon hi dekhe tu dawara
Jis waqt ke Kabe ka kare pehla nazara
Gar hosh hoon tere mujhko na bhulana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Ro ro ke tu karna mere haq mein yeh duayein
Bole na fazool aur rakhe neechi nigahien
Kar arz Khuda se tu ise nek banana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Behkata hai shaitan tu hai nafs satata
Tauba bhi bohat karta hai par pahunch nahin pata
Kar Haq se dua isko gunahon se bachana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Sakrat ke sadmay mere bas mein nahin sehna
Kehta tha: tu Sarkar se ro ro ke yeh kehna
Jalwa bhi dikhana mujhe kalma bhi padhana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Kehta tha bure khatmay ka khauf bada hai
Dekh hai ise barha yeh ro bhi para hai
Yarab ise imaan pe duniya se uthana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Nadim hai mazeed isko tu sharminda na karna
Be-poochhe hi de bakhsh qayamat mein na dharna
Kar arz Khuda se ise jannat mein basana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Jab tak ho Madine mein muyassar tujhe rehna
Ro ro ke salam un se mera roz tu kehna
Khairaat-e-shifaat ki tabarruk mein le aana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Ikhlas ki Allah ise kar de ata bheek
Aur ghussay ki aadat talay akhlaq bhi hoon theek
Hunain ke sadqay ise hans mukh tu banana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Chhai hai mere rukh pe gunahon ki siyahi
Maqsoom na ho jaye kahin bhai tabahi
Kar arz, unhein aata hai taqdeer banana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Kehna ke nadamat ise isiyan pe badi hai
Dehleez pe maut aa ke shaha iske khadi hai
Tum naz’a mein deedar ka jaam isko pilana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Kehta tha Karachi mein nahin mujhko hai marna
Ro ro ke guzarish tu yeh Sarkar se karna
Sultan-e-Madina ise qadmon mein sulana
Aye azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Tu Dawat-e-Islami ke haq mein yeh dua de
Islam ka danka yeh zamane mein baja de
Farmayein karam us pe shehenshah-e-zamana
Ae azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon
Jab gumbad-e-khazra ko nazar jhoom ke choome
Aajaye tujhe wajd tu be-sakhta jhoome
Kehna: kahein, Attar hamara hai deewana
Ae azim-e-Taiba! main talabgar-e-dua hoon