Taiba mein ab to mujh ko do gaz zameen de do
Kab tak phiroon mein dar-dar Sarkar mara mara
De do Baqi de do, mujh ko Baqi de do
Kardo sawal poora pyare Nabi khudara
Hain Mustafa madadgar aye dushmano khabardar!
Yeh mat samajhna hami koi nahi hamara
Hai dushmanon ne ghera lillah koi phera
Ya Mustafa khudara ab aake do sahara
Karde adu ko gharat, hasid ko de hidayat
Poori ho qalb-e-muztar ki arz-e-kardagara
Zalim dara rahe hain, aankhein dikha rahe hain
Aqa! do jald aakar Attar ko sahara