Taranay Mustafa ke jhoom kar parhta hua niklay
Yoon hajj ko 'chal Madina' ka watan se qafila niklay
Nazar jab sabz gumbad par paray ghash kha ke gir jaoon
Tere qadmon mein jaan-e-muztarib Ya Mustafa niklay
Agar meezaan pe peshi ho gayi to haaye! barbadi!
Gunahon ke siwa kya meray naamay mein bhala niklay
Karam se us ghari Sarkar! parda aap rakh lena
Sar-e-mahshar meray aibon ka jis dam tazkira niklay
Nazar aaein joon hi Sarkar-e-mahshar mein meray lab se
Yeh nara 'Ya Rasool Allah' ka be-sakhta niklay
Agarcha daulat-e-dunya meri sab chheen li jaye
Meray dil se na hargiz Ya Nabi teri wala niklay
Parosi khuld mein Ya Rabb! banaday apnay pyaray ka
Yahi aarzoo meri yahi dil se dua niklay
Tujhay hargiz gawara ho nahi sakta keh mahshar mein
Jahannum ki taraf rota hua tera gada niklay
Rasool-e-pak se mera salam-e-shauq keh dena
Qareeb-e-Gumbad-e-Khazra tu jab baad-e-saba niklay
Talaatum khaiz maujein hain thapiron par thapiray hain
Meri naiya bhanwar se ab salamat nakhuda niklay
Ilahi maut aaye Gumbad-e-Khazra ke saaye mein
Madinay mein janaza dhoom se Attar ka niklay