Umar yazdah saal ba-aariza-e-ta'oon
Ai aah Habib sahib-e-qabr
Tere liye kis tarah karein sabr
Yun sar pe payam-e-maut pahuncha
Jaise ke qamar pe aa gaya abr
Tareekh thi saatvi Muharram
Jaan bargah-e-Khuda mein ki nazr
Tareekh Jameel ho huwayda
Qasr-e-shahwar-e-manzil-e-qabr