Tera jalwa noor-e-Khuda Ghous-e-Azam
Tera chehra imaan fiza Ghous-e-Azam
Mujhe be-gumaan de gumaan Ghous-e-Azam
Na paoon mein apna pata Ghous-e-Azam
Khudi ko mita de Khuda se mila de
De aisi fana-o-baqa Ghous-e-Azam
Khudi ko gumaoon to main haq ko paoon
Mujhe jaam-e-irfan pila Ghous-e-Azam
Khuda saaz aaina-e-haq numa hai
Tera chehra pur-ziya Ghous-e-Azam
Khuda to nahi hai magar tu Khuda se
Juda bhi nahi hai zara Ghous-e-Azam
Na to khud Khuda hai na haq se juda hai
Khuda ki hai tu shaan ya Ghous-e-Azam
Tu baagh-e-Ali ka hai woh phool jis se
Dimaagh-e-jahan bas gaya Ghous-e-Azam
Tera martaba kyon na aala ho maula
Hai mehboob-e-Rabb-ul-Ula Ghous-e-Azam
Tera rutba Allah-u-Akbar saron par
Qadam auliya ne liya Ghous-e-Azam
Tera daaman-e-paak thaame jo rehzan
Bane haadi-o-rehnuma Ghous-e-Azam
Na kyon mehrbaan ho ghulamon pe apne
Karam ki hai tu kaan ya Ghous-e-Azam
Tere sadqe jaoon meri laaj rakh le
Tere haath hai laaj ya Ghous-e-Azam
Pareshan kar de pareshaniyon ko
Pareshan dil hai mera Ghous-e-Azam
Meri kashti chakra rahi hai bhanwar mein
Mere nakhuda bakhuda Ghous-e-Azam
Khudaya sahara sahara Khudaya
Talaatum hai had se siwa Ghous-e-Azam
Are more siyan paroon tore payan
Pakad mori bayian piya Ghous-e-Azam
Khatayen hamari jo had se siwa hain
Ata teri un se siwa Ghous-e-Azam
Khata kariyan garcha had se bhi apni
Siwa hain siwa hain siwa Ghous-e-Azam
Hamari khata ko tumhari ata se
Bhala koi nisbat bhi ya Ghous-e-Azam
Tu reham-o-karam ka hai be-payan dariya
Yeh ik fard-e-isyan hai kya Ghous-e-Azam
Yeh ik fard-e-isyan hai kya tere aage
Agar lakhon se hoon siwa Ghous-e-Azam
Tera ek hi qatra dho de ga sara
Har ek safha-e-pur-khata Ghaus-e-Azam
Tu bekas ka gus aur be-bas ka bas hai
Tuwan natwanon ki ya Ghaus-e-Azam
Meri jaan mein jaan aaye jo aaye
Mara alam mara Ghaus-e-Azam
Meri jaan kya jaan-e-imaan ho taza
Ke hai Muhyi-e-Deen-e-Khuda Ghaus-e-Azam
Mara sar teri kafsh-e-pa par tasadduq
Woh pa ke tu qabil hai ya Ghaus-e-Azam
Jhalak roo-e-anwar ki apni dikha kar
Tu Noori ko Noori bana Ghaus-e-Azam