Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Tera Shukr-e-Maula Diya Deeni Mahol

Tera Shukr-e-Maula Diya Deeni Mahol

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Tera shukr-e-Maula diya deeni mahol, na chhootay kabhi bhi Khuda deeni mahol Salamat rahe ya Khuda deeni mahol, bachay bad nazar se sada deeni mahol Khuda ke karam se Khuda ki ata se, na dushman sakay ga chora deeni mahol Dua hai yeh tujh se dil aisa laga de, na chhootay kabhi bhi Khuda deeni mahol Humein aalimon aur buzurgon ke adab, sikhata hai har dam sada deeni mahol Hain islami bhai sabhi bhai bhai, hai be-had mohabbat bhara deeni mahol Yaqeenan muqaddar ka woh hai Sikandar, jisay khair se mil gaya deeni mahol Yahan sunnatain seekhne ko milein gi, dilaye ga khauf-e-Khuda deeni mahol Tu aa be-namazi, hai deta namazi, Khuda ke karam se bana deeni mahol Gar aaye sharabi mitay har kharabi, charhaye ga aisa nasha deeni mahol Agar chor daku bhi aa jayen ge to sudhar jayen ge gar mila deeni mahol Ae beemar-e-isyan tu aa ja yahan par, gunahon ki dega dawa deeni mahol Agar dard-e-sar ho, kahin cancer ho, dilaye ga tum ko shifa deeni mahol Shifayen milein gi, balayen talen gi, yaqeenan hai barkat bhara deeni mahol Gunahgaro ao, siyah karo ao, gunahon ko dega chhora deeni mahol Pila kar may-e-ishq dega bana yeh, tumhein aashiq-e-Mustafa deeni mahol Ae islami behno! tumhare liye bhi, suno hai bohat kaam ka deeni mahol Tumhein sunnaton aur parday ke ahkaam, yeh taleem farmaye ga deeni mahol Qayamat talak ya Elahi salamat Rahe teray Attar ka deeni mahol