Tere dar se mangton ka guzara Ya Muhammad Shah
Yeh sun kar main ne bhi daaman pasara Ya Muhammad Shah
Meri qismat ka chamka do sitara Ya Muhammad Shah
Dikha do apna chehra pyara pyara Ya Muhammad Shah
Gunaahon ke marz ne neem jaan hai kar diya mujh ko
Tumhein aakar karo ab koi chara Ya Muhammad Shah
Gham-e-Shah-e-Madina mujh ko tum aisa ata kar do
Jigar tukre ho dil bhi para para Ya Muhammad Shah
Hui jati hai ujar ab meri umeed ki kheti
Bharan barsa do rehmat ki Khudaya Muhammad Shah
Mere dulha mere ujre gulistan mein bahar aaye
Khazan ka rukh phira do ab Khudara Ya Muhammad Shah
Madine ka bana do aisa deewana mujhe dulha
Phirun diwangi mein mara mara ya Muhammad Shah
Garajte badalon ka shor chalti aandhiyon ka zor
Larzta hai kaleja do sahara ya Muhammad Shah
Meri kashti bhanwar mein phans gayi hai haye barbadi
Main dooba tum bacha lo ab khudara ya Muhammad Shah
Bachalo dushmanon ke waar se lillah main ne hai
Badi umeed se tum ko pukara ya Muhammad Shah
Shaha khairat lene ko salateen-e-zamana ne
Tere darbar mein daman pasara ya Muhammad Shah
Sudharo mere dulha mujh nikame aur bigde ko
Na jane tum ne kitnon ko sudhara ya Muhammad Shah
Khuda ke khauf se roye Nabi ke ishq mein roye
Ata kar do woh chashm-e-tar khudara ya Muhammad Shah
Agarcha lakh papiya hai magar Attar kis ka hai
Tumhara hai tumhara hai tumhara ya Muhammad Shah