Teri zaat mein jo fana hua woh fana se na adad bana
Jo use mitaye woh khud mite, woh hai baqi us ko fana nahin
Do jahan mein sab pe hain woh ayan do jahan phir un se hon kyun nihan
Woh kisi se jab nahin chhupe to koi bhi un se chupa nahin
Har ek un se hai woh har ek mein hain woh hain ek ilm-e-hisab ke
Bane do jahan ki wohi bana woh nahin jo un se bana nahin
Karu lutf mujh pe yeh khusra ke chura do ghair ka aasra
Na taku kisi ko tere siwa ke kisi se mera bhala nahin
Koi tujh se nich ke kahan rahe tera mulk chor kahan base
Tu habeeb-e-rab teri mulk sab jahan tu na ho koi ja nahin
Yeh tumhara Saalik-e-be-nawa marz-e-gunah mein mubtala
Tum hi is buray ko karu bhala ke koi tumhare siwa nahin