Tu ne batil ko mitaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Deen ka danka bajaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Zor-e-batil ka, zalalat ka tha jis dam Hind mein
Tu mujaddid ban ke aaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Ahl-e-Sunnat ka chaman sarsabz tha shadab tha
Taazgi tu aur laya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Tu ne batil ko mita kar deen ko bakhshi jala
Sunnaton ko phir jalaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Ae Imam-e-Ahl-e-Sunnat naib-e-Shah-e-Umam
Keejiye hum par bhi saya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Ilm ka chashma hua hai moujzan tehrer mein
Jab qalam tu ne uthaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Hashr tak jaari rahe ga faiz-e-murshid aap ka
Faiz ka darya bahaya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza
Hai badargah-e-Khuda Attar-e-aajiz ki dua
Tujh pe rahmat ka saya ae Imam-e-Ahmad-e-Raza