Wasf kya likhay koi us mahbat-e-anwar ka
Mehr-o-mah mein jalwa hai jis chand se rukhsar ka
Arsh-e-azam par phariya hai shah-e-abrar ka
Bajta hai kaunain mein danka mere sarkar ka
Do-jahan mein bat-ta hai baara isi sarkar ka
Donon aalam paate hain sadqa isi darbar ka
Jari hai aathon pehar langar sakhi darbar ka
Faiz par har dam hai dariya Ahmed-e-Mukhtar ka
Roza-e-wala-e-Taiba makhzan-e-anwar hai
Kya kahoon aalam mein tujh se jalwa-gah-e-yar ka
Dil hai kis ka jaan kis ki sab ke maalik hain wahi
Donon aalam par hai qabza Ahmed-e-Mukhtar ka
Kya kare sonay ka kushta kushta teer-e-ishq ka
Deed ka pyasa kare sharbat-e-dinar ka
Faq ho chehra mehr-o-mah ka aise munh ke samne
Jis ko qismat se mile bosa teri pezar ka
Laat mari tum ne dunya par agar tum chahte
Silsila sonay ka hota silsila-e-gahsar ka
Main teri rehmat ke qurban ae mere amn-o-aman
Koi bhi pursan nahi hai mujh se badkirdar ka
Hein ma'asi had se bahar phir bhi zahid gham nahi
Rehmat-e-aalam ki ummat banda hoon ghaffar ka
Tu hai rehmat baab-e-rehmat tera darwaza hua
Saya-e-fazl-e-Khuda saya-e-teri deewar ka
Ka'ba-o-Aqsa-o-Arsh-o-Khuld hein Noori magar
Hai nirala sab se aalam jalwa-gah-e-yar ka