Tera zarra mah-e-kamil hai ya Ghaus
Tera qatra yam-e-sail hai ya Ghaus
Koi salik hai ya wasil hai ya Ghaus
Woh kuch bhi ho tera sail hai ya Ghaus
Qad-e-be-saya zill-e-kibriya hai
Tu us be-saya zill ka zill hai ya Ghaus
Teri jagir mein hai sharq ta gharb
Qalam-rau mein haram ta hal hai ya Ghaus
Dil-e-ishq o rukh-e-husn aaina hain
Aur un donon mein tera zill hai ya Ghaus
Teri sham-e-dil ara ki tab o taab
Gul o bulbul ki aab o gil hai ya Ghaus
Tera majnu tera sehra tera Najd
Teri Laila tera mahmal hai ya Ghaus
Yeh teri champi rangat Hussaini
Husn ke chand subh-e-dil hai ya Ghaus
Gulistan-e-zaar teri pankhari hai
Kali sau khuld ka haasil hai ya Ghous
Ugaal iska udhaar-e-abrar ka ho
Jise tera ulth haasil hai ya Ghous
Ishara mein kiya jisne qamar chaak
To us munh ka mah-e-kaamil hai ya Ghous
Jise arsh-e-dom kehte hain aflaak
Woh teri kursi-e-manzil hai ya Ghous
Tu apne waqt ka Siddiq-e-Akbar
Ghani o Haider o Aadil hai ya Ghous
Wali kya mursal aayein khud huzoor aayein
Woh teri wa'z ki mehfil hai ya Ghous
Jise mange na payein jaah waale
Woh bin mange tujhe haasil hai ya Ghous
Fuyooz-e-aalam-e-ummi se tujh par
Ayan maazi o mustaqbil hai ya Ghous
Jo qarnon sair mein aarif na payein
Woh teri pehli hi manzil hai ya Ghous
Malak mashghool hain uski sana mein
Jo tera zaakir o shaaghil hai ya Ghous
Na kyun ho teri manzil arsh-e-saani
Ke arsh-e-haq teri manzil hai ya Ghous
Wahien se uble hain saaton samandar
Jo teri nehar ka saahil hai ya Ghous
Malaik ke bashar ke jin ke halqe
Teri zau-e-mah-e-har manzil hai ya Ghous
Bukhara o Iraq o Chisht o Ajmer
Teri lau sham-e-har mehfil hai ya Ghous
Jo tera naam le zaakir hai pyaare
Tasawwur jo kare shaaghil hai ya Ghous
Jo sar de kar tera sauda kharide
Khuda de aql woh aaqil hai ya Ghous
Kaha tu ne ke jo maango mile ga
Raza tujhse tera saail hai ya Ghous