Wohi Rabb Hai Jis Ne Tujh Ko Hama Tan Karam Banaya
Hamein bheek mangne ko tera astan bataya
Tujhe hamd hai Khudaya
Tumhein hakim baraya tumhein qasim ataya
Tumhein dafe balaya tumhein shafe khataya
Koi tum sa kaun aaya
Woh kanwari pak Maryam woh nafakhtu feehi ka dam
Hai ajab nishan-e-azam magar Aamina ka jaya
Wohi sab se afzal aaya
Yehi bole Sidra wale chaman jahan ke thale
Sabhi mein ne chhan dale tere paya ka na paya
Tujhe Yak ne Yak banaya
Fa iza faraghta fansab yeh mila hai tum ko mansab
Jo gada bana chuke ab utho waqt-e-bakhshish aaya
Karo qismat ataya
Wa ila Rabbika farghab karo arz sab ke matlab
Ke tumhein ko takte hain sab karo un par apna saya
Bano shafe khataya
Are aye Khuda ke bando! Koi mere dil ko dhundo
Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya
Na koi gaya na aaya
Hamein aye Raza tere dil ka pata chala ba-mushkil
Dair-e-Rauza ke muqabil woh hamein nazar to aaya
Yeh na pooch kaisa paya
Kabhi khanda zer-e-lab hai kabhi girya sari shab hai
Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aaya
Na us ne kuch bataya
Kabhi khaak par pada hai sar-e-charkh zer-e-pa hai
Kabhi pesh-e-dar khada hai sar-e-bandagi jhukaya
Tu qadam mein arsh paya
Kabhi woh tapak ke atish kabhi woh tapak ke barish
Kabhi woh hujoom-e-nalish koi jane abr chhaya
Badi joshishon se aaya
Kabhi woh chehak ke bulbul kabhi woh mehak ke khud gul
Kabhi woh lehak ke bilkul chaman-e-jinan khilaya
Gul-e-quds lehlehaya
Kabhi zindagi ke arman kabhi marg-e-nau ka khwahan
Woh jiya ke marg qurban woh muwa ke zeest laya
Kahe rooh han jalaya
Kabhi gum kabhi ayan hai kabhi sard ke tapan hai
Kabhi zer-e-lab faghan hai kabhi chup ke dam na thaya
Rukh-e-kaam jan dikhaya
Yeh tasawwurat-e-batil tere aage kya hain mushkil
Teri qudratain hain kamil unhein right kar Khudaya
Main unhein shafe laya