Ya Ghaus! bulao mujhe Baghdad bulao
Baghdad bula kar mujhe jalwa bhi dikhao
Duniya ki mohabbat se meri jaan churao
Deewana mujhe Shah-e-Madina ka banao
Chamka do sitara meri taqdeer ka murshid!
Madfan ko Madine mein jagah mujh ko dilao
Duniya meri manjdhar mein Sarkar! phansi hai
Imdad ko aao! meri imdad ko aao
Hasnain ke sadqe hon meri mushkilein aasaan
Aafat-o-baliyaat se Ya Ghaus! bachao
Ya Peer! main isyan ke talatum mein phansa hoon
Lillah gunahon ki tabahi se bachao
Achon ke khareedar to har ja pe hain murshid!
Badkar kahan jayen jo tum bhi na nibhao
Ahkam-e-shariat rahein malhooz hamesha
Murshid! mujhe sunnat ka bhi paband banao
Attar jahannam se bohat khauf zada hai
Ya Ghaus! isay daman-e-rehmat mein chupao