Ya Ilahi! Dua hai gada ki mere Mola tu khairat dede
Jalwa-e-sarwar-e-Ambiya ki mere Mola tu khairat dede
Sabz gumbad ki mehki faza ki deed-e-darbar-e-Khairul Wara ki
Bagh-e-Tayyaba ki thandi hawa ki mere Mola tu khairat dede
Bheek de ulfat-e-Mustafa ki sab sahaba ki Aal-e-Aba ki
Ghaus o Khwaja ki Ahmad Raza ki mere Mola tu khairat dede
Koi Hajj ka sabab ab banade mujh ko Kaba ka jalwa dikhade
Deed-e-Arafat o deed-e-Mina ki mere Mola tu khairat dede
De Madine ki mujh ko gadai ho ata do jahan ki bhalai
Hai sada aajiz o be-nawa ki mere Mola tu khairat dede
Hazri ke liye jo bhi tarpe sabz gumbad ka deedar karle
Us ko Tayyaba ki mehki faza ki mere Mola tu khairat dede
Azim-e-rah-e-Baghdad karde jalwa-e-Ghaus se shad karde
Mujh ko deedar-e-Karb o Bala ki mere Mola tu khairat dede
Har dam Iblees peeche laga hai hifz-e-iman ki iltija hai
Ho karam aman-e-roz-e-jaza ki mere Mola tu khairat dede
Maghfirat kar baroz-e-Qayamat tu karam kar ata kar inayat
Khuld mein qurb-e-Khairul Wara ki mere Mola tu khairat dede
Barah mah ke musafir bane hain ya jo waqf-e-Madina huye hain
Un ko ishq-e-shah-e-do sara ki mere Mola tu khairat dede
Woh bechare ke bimaar hain jo jinn o jadu se bezar hain jo
Apni rehmat se un ko shifa ki mere Mola tu khairat dede
Woh ke aafaat mein mubtala hain jo giriftar-e-ranj o bala hain
Fazl se un ko sabr o raza ki mere Mola tu khairat dede
La dawa keh chuke sab tabeeb ab dam labon par hai Rab-e-Mujeeb ab
Jalwa-e-shah-e-arz o sama ki mere Mola tu khairat dede
Qabr tere karam se banegi bagh, rehmat ki chadar tanegi
Roz-e-mehshar bhi lutf o ata ki mere Mola tu khairat dede
Rooh, Attar ki jab juda ho samne jalwa-e-Mustafa ho
Un ke qadmon mein us ko qaza ki mere Mola tu khairat dede