Ya Khuda! Hajj pe bula aake main Kaba dekhun
Kash! Ek baar main phir meetha Madina dekhun
Phir muyassar mujhe kash! Wuqoof-e-Arafat
Jalwa main Muzdalifa aur Mina ka dekhun
Jhoom kar khoob karoon khana-e-Kaba ka tawaf
Phir Madine ko chaloon Gumbad-e-Khizra dekhun
Sabz Gumbad ka haseen jalwa dikha de Ya Rabb!
Masjid-e-Nabvi ka pur-noor manara dekhun
Roza-e-Paak ke saye mein bula kar Aaqa
Ankh de dijiye main Aap ka jalwa dekhun
Choom loon kash! Nigahon se sunehri jaali
Ashkbar ankh se minbar ka bhi jalwa dekhun
Kash! Woh ankh ata ho main Madine aakar
Jis taraf jaoon udhar noor barasta dekhun
Jaam-e-Ishq aisa pila dijiye Jaan-e-Aalam
Har ghadi aahein bharoon khud ko tadapta dekhun
Chashm-e-tar soz-e-jigar dijiye qalb-e-muztar
Ishq mein rota rahoon jab bhi Roza dekhun
Soz-e-Ishq mein jalta hi rahoon main har dam
Ankh se gham mein tere khoon barasta dekhun
Us pe rashk aata hai aur pyaar bahut aata hai
Ishq mein tere jise rota bilakta dekhun
Kash! Main rone lagoon qalb bhi ho mera udaas
Jab Madine ki taraf qafila jaata dekhun
Zairo! Kehna ye ro ro ke Shaha! Ek maskeen
Keh raha tha ye tadap kar: 'Main Madina dekhun'
Tu jo chahe to meri ankh se parde uthein
Main watan se bhi Madine ka nazara dekhun
Woh khilate hain pilate hain nibhate bhi hain
Kyun kahin jaoon kisi aur taraf kya dekhun
Apni rehmat se mujhe kar do ata aisi bahaar
Munh kabhi bhi na duwan ka mere Aaqa! Dekhun
Tere ehsan karodon hain ye bhi ehsan
Ya Khuda! Naz'a mein jalwa main Nabi ka dekhun
Baagh-e-Jannat mein jo aao apna ata farma do
Khuld mein har ghadi jalwa main tumhara dekhun
Dod kar qadmon mein Attar karoon us dam
Hashr mein jis ghadi Sarkar ko aata dekhun
------------------------------------
Mera dil Madina