Ya Shahanshah-e-Umam! Chashm-e-Karam
Kijye Aaqa! Karam chashm-e-karam
Aagaya ab to Madina ho ata
Qalb-e-muztar aankh nam chashm-e-karam
Thokrein dar dar ki khayein kab talak
Ya Rasool Allah! Hum chashm-e-karam
Chand se chehre ko chamkate huye
Khwab mein kar do karam chashm-e-karam
Faltu baaton ki aadat door ho
Ya Nabi Mohtaram! Chashm-e-karam
Nafs ka zunnar toro jis tarah
Toray Ka'abey ke sanam chashm-e-karam
Karbala walon ka sadqa Ya Nabi!
Door hon ranj-o-alam chashm-e-karam
Ward-e-lab har dam durood-e-pak ho
Ya Shah-e-Arab-o-Ajam! Chashm-e-karam
Wasta Aaqa! Ziauddin ka
Apna gham do apna gham chashm-e-karam
Ya Nabi! Zikr-e-Madina hi rahe
Lab pe mere dam-ba-dam chashm-e-karam
Mera seena ho Madina Ya Nabi!
Kash! ho aisa karam chashm-e-karam
Gumbad-e-Khazra ke jalwe aankh mein
Jayein bas Shah-e-Haram chashm-e-karam
Ya Nabi! "Neki ki dawat" ki tarap
Hau kisi surat na kam chashm-e-karam
Saare deewano ko Taiba lo bula!
Ya Rasool-e-Mohtaram! Chashm-e-karam
Maut aaye kash! Taiba mein mujhe
Az paye khak-e-haram chashm-e-karam
Do Baqi Aaqa ab to Baqi
Ho karam Aaqa! Karam chashm-e-karam
Ab sarhane aaiye Ya Mustafa!
Tootne wala hai dam chashm-e-karam
Hashr hai nama gunahon se hai pur
Tum hi ab rakh lo bharam chashm-e-karam
Likh sake Attar naatein aap ki
Dijye! Aisa qalam chashm-e-karam