Yad-e-Shah-e-Batha mein jo ashk bahate hain
Ghar baithe Tayyaba ka woh lutf uthate hain
Jo yaad-e-Madina ko seenon mein basate hain
Jeene ka maza aise ushshaq hi paate hain
Kis pyar se ummat ke woh naaz uthate hain
Isiyan ko ghulamon ke ashkon se mitate hain
Woh apne ghulamon ko dozakh se bachate hain
Allah ki rehmat se jannat mein basate hain
Sarkar khilate hain Sarkar pilate hain
Sultan-o-gada sab ko Sarkar nibhate hain
Rote hain tadapte hain yeh aap ke deewane
Sarkar Madine ko phir qaafile jaate hain
Phansi hui maujon mein jab un ko pukara hai
Toofan se kashti ko woh paar lagate hain
Jitne bhi hain deewane un sab ko balaliye
Arman gareebon ko Tayyaba ke rulate hain
Yeh aap ki marzi hai jin par bhi karam kar dein
Jannat ki sanad dene roze pe bulate hain
Woh Hashr ke maidan mein chupayenge hum sab ke
Yahan par bhi jo aib jo aib chupate hain
Gham mujh ko Madine ka Sarkar ata kardo!
Aazar-e-zamaane ke bekar rulate hain
Qurban! Sar-e-Mehshar hum pyas ke maron ko
Bhar bhar ke woh Kausar ke kya jaam pilate hain
Arsa hua ae Aaqa! Tayyaba se judai ko
Attar ko kab jaana! phir dar pe bulate hain