Yeh arz-e-gunahgar hai Shah-e-Zamana
Jab aakhri waqt aaye mujhe bhool na jana
Sakrat ki jab sakhtiyan Sarkar hon taari
Lillah! Mujhe apnay nazron mein gumana
Dar lagta hai imaan kahin ho jaye na barbad
Sarkar buray khatmay se mujh ko bachana
Jab rooh meray tan se nikalne ki ghari ho
Shaitan-e-lain se mera imaan bachana
Jab dam ho labon par ay Shehenshah-e-Madina
Tum jalwa dikhana mujhe kalma bhi parhana
Aqa mera jis waqt ke dam toot raha ho
Us waqt mujhe chehra-e-pur-noor dikhana
Sarkar! Mujhe naz'a mein mat chhodna tanha
Tum aake mujhe Surah-e-Yaseen sunana
Jab gor-e-ghareeban ko chale mera janaza
Rehmat ki rida us pe khudara tum odhana
Jab qabr mein ahbab chalein mujhko lita kar
Ae pyare Nabi gor ki wehshat se bachana
Tay khair se tadfeen ke hon saare marahil
Ho qabr ka bhi lutf se aasaan dabana
Jis waqt Nakeerain karein aake sawalat
Aqa mujhe tum aake jawabat sikhana
Sun rakha hai hota hai bada sakht andhera
Turbat mein meri noor ka fanoos jalana
Jab qabr ki tanhai mein ghabraye mera dil
Dene ko dilasa Shah-e-Abrar tu aana
Jab roz-e-qayamat rahe ek meel pe suraj
Kausar ka chhalkta mujhe ek jaam pilana
Ho arsa-e-mahshar mein mera chaak na parda
Lillah mujhe daman-e-rehmat mein chhupana
Mahshar mein hisab aah! main de hi na sakunga
Rehmat na hui hoga jahannam mein thikana
Farmayenge jis waqt ghulamon ki shafa'at
Main bhi hoon ghulam aap ka mujhko na bhulana
Farma ke shafa'at meri ae Shafe-e-Mahshar!
Dozakh se bacha kar mujhe jannat mein basana
Ya Shah-e-Madina! Mah-e-Ramzan ka sadqa
Jannat mein padosi mujhe tum apna banana
Allah ki rehmat se ye mayoos nahi hai
Ho jayega Attar ki bakhshish ka bahana