Yeh ikram hai Mustafa par Khuda ka
Ke sab kuch Khuda ka hua Mustafa ka
Yeh baitha hai sikka tumhari ata ka
Kabhi haath uthne na paya gada ka
Chamakta hua chand Ghaar-e-Hira ka
Ujala hua burj-e-Arsh-e-Khuda ka
Lahad mein amal ho na dev bala ka
Jo taweez mein naqsh ho naqsh-e-pa ka
Jo banda Khuda ka woh banda tumhara
Jo banda tumhara woh banda Khuda ka
Mere gaisoo-on wale tere sadqe
Ke sar par hujoom-e-bala hai bala ka
Tere zer-e-pa masnad-e-mulk-e-Yazdaan
Tere farq par taaj mulk-e-Khuda ka
Sahara diya jab mere nakhuda ne
Hoi nao seedhi phira rukh hawa ka
Kiya aisa Qadir-o-Qadar ne
Ke qudrat mein hai pher dena qaza ka
Agar zer-e-deewar-e-Sarkar baithoon
Mere sar pe saya ho fazl-e-Khuda ka
Adab se liya taaj-e-shahi ne sar par
Yeh paya hai Sarkar ke naqsh-e-pa ka
Khuda karna hota jo tehat-e-mashiyat
Khuda ho kar aata yeh banda Khuda ka
Azan kya jahan dekho imaan walo
Pas-e-zikr-e-Haq zikr hai Mustafa ka
Ke pehle zabaan hamd se paak ho le
To phir naam le woh Habib-e-Khuda ka
Yeh hai tere imaye abru ka sadqa
Hadaf hai asar apne teer-e-dua ka
Ae mehr-e-karam teri tajalli ki ada ne
Zarron ko balaye shab-e-hijran se nikala
Sadqe tere ae mard-e-nik deeda-e-Yaqub
Yusuf ko teri chah ne Kan'an se nikala
Ham doobne hi ko thay ke Aqa ki madad ne
Girdab se kheecha hamain toofan se nikala
Ummat ke kaleja ki khalish tum ne mitayi
Toote hue nashtar ko rag-e-jaan se nikala
In hathon ke qurban ke in hathon se tum ne
Khar-e-rah-e-gham paye gareeban se nikala
Arman zadon ki hain tamannayen bhi pyari
Arman nikala to kis arman se nikala
Yeh gardan-e-pur-noor ka phela hai ujala
Ya subh ne sar un ke gareeban se nikala
Gulzar-e-Ibrahim kiya naar ko jis ne
Us ne hi hamain aatish-e-sozan se nikala
Deni thi jo aalam ke haseenon ko malahat
Thoda sa namak un ke namakdan se nikala
Quran ke hawashi pe Jalalain likhi hai
Mazmoon yeh khat-e-ariz-e-janan se nikala
Qurban hua bandagi par lutf-e-rehayi
Yun banda bana kar hamain zindan se nikala
Ae aah mere dil ki lagi aur na bujhti
Kyon tu ne dhuan seena-e-sozan se nikala
Madfan nahi phenk ayen ge ahbab garhay mein
Taboot agar kocha-e-janan se nikala
Kyon shor hai kya hashr ka hangama bapa hai
Ya tum ne qadam gor-e-gareeban se nikala
Lakhon tere sadqe mein kahen ge dam-e-mahshar
Zindan se nikala hamain zindan se nikala
Jo baat lab-e-Hazrat-e-Isa ne dikhayi
Woh kaam yahan jumbish-e-daman se nikala
Munh mangi muradon se bhari jaib-e-do aalam
Jab dast-e-karam aap ne daman se nikala
Kanta gham-e-uqba ka Hasan apne jigar se
Ummat ne khayal-e-sar-e-muzhgan se nikala