Yeh kis shahanshah-e-wala ki aamad aamad hai
Yeh kaun se shah-e-bala ki aamad aamad hai
Yeh aaj taare zameen ki taraf hain kyun mail
Yeh aasman se paiham hai noor kyun nazil
Yeh aaj kya hai zamane ne rang badla hai
Yeh aaj kya hai ke aalam ka dhang badla hai
Yeh aaj kahe ki shadi hai arsh kyun jhooma
Lab-e-zameen ko lab-e-aasman ne kyun chooma
Sawa dooba hua aur sawa khushk hua
Khizaan ka daur gaya mausam-e-bahaar aaya
Yeh aaj kya hai ke but oondhe hogaye saare
Yeh aaj kyun hain shayateen bandhe hue saare
Yeh Ambiya o Rusul kis ke intezar mein hain
Yeh aaj Laat o Hubal kis se inqisar mein hain
Yeh aaj Bushra lakum ki sada ka shor hai kyun
Yeh marhaba ki nidayon mein aaj zor hai kyun
Kaha jawab mein hatif ne lo mubarak ho
Utho Khuda ke Habib aaye muzda ho tum ko
Woh aaye aane ki jin ke khabar thi muddat se
Dua Khalil ki Isa ki jo basharat thay
Barho adab se karo arz Assalamu Alaika
Wa ahle baitika wal aali wallazina ladaik
Salam tum pe Khuda ka aur us ki rehmat ho
Tahiyat us ki sana us ki us ki nemat ho
Durood aap pe har aan bheje Rab-e-Wadood
Aur us ki barkaton ka roz aap par ho wurood
Salam aap par nazil kare salat o salam
Buland zikr kare aap ka hamesha mudam
Yahi hain jin ko malaik salam karte hain
Inhi ki madh o sana subh o sham karte hain