Zair-o-paas-e-adab rakho hawas jaane do
Aankhein andhi hui hain un ko taras jaane do
Sookh jaati hai umeed-e-ghurba ki kheti
Boondiyan lak-e-rehmat ki baras jaane do
Plati aati hai abhi wajd mein jaan-e-sheereen
Naghma-e-gham ka zara kaano mein ras jaane do
Ham bhi chalte hain zara qafle walo! thehro
Gathriyan tosha-e-umeed ki gas jaane do
Deed gul aur bhi karti hai qayamat dil par
Hamsafeer-o-hamein phir su-e-qafas jaane do
Aatish-e-dil bhi to bhadkaao adab daan naalo
Kaun kehta hai ke tum zabt-e-nafs jaane do
Yun tan-e-zaar ke darpe hue dil ke shola
Shiwa-e-khana bar-andazi-e-khas jaane do
Ae Raza aah ke yun sehal katein jurm ke saal
Do ghadi ki bhi ibadat to baras jaane do